Skip to main content

ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye

ik tum ke dil me.n dard kisii Gair ke liye
ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye

ham apane aashiyaane me.n tere mu.ntazir
tum ti.nke chun rahe the kisii aur ke liye

ham jaanate hai.n dil me.n tumhaare nahii.n hai.n ham
jo Khat tumhaarii aa.Nkho.n me.n the ham ne pa.Dh liye

Gam hai ke tuu ne luuT liyaa aitamaad ko
ik daaG de diye hai.n hame.n umr ke liye

qaatil kii is adaa pe bhii qurbaan jaaye
Khud de ke zahar aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu bhii bhar liye

thii kaun sii Khataa ke milii jis kii ye sazaa
hamane to umr bhar tere nqash-e-qadam liye

"Azra" ye maanaa bojh hai ab tujh pe zindagii
par zindagii to terii nahii.n hai tere liye

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.