ho kiyooN na tere kaam meiN hairaan tamaasha
yaa rab teree qudrat meiN hai har Aan tamaasha
le 'arsh se ta farsh na’e rang na’e DHang
har shakal-e-ja’b hai har ik shaan tamaasha
aflaak peh taaroN kee jHamaktee hai tallismat
aur ro’e zameeN par gul-o-reHaan tamaasha
jannat paree dev mallik Hoor bHee naadir
Insaan ajooba haiN to Hewan tamaasha
jab Husn ke jatee hai muraqah peh naZar Aah
kya kya naZar Aata hai her ik AaN tamaasha
choTee kee gandHawat kaheeN dikHlaatee hai lahreeN
rakHtee heiN kaheeN zulf-e-parishaan tamaasha
gar 'ishq ke kooche meiN guzar keej'e to waaN bHee
har waqt na’ee sair hai her AaN tamaasha
munh zor badan khushk jigar chaak alamnak
ghul shor tapash naala-o-afghan tamaasha
ham past nigahooN kee naZar meiN to NaZeer Aah
sab arX-o-sama ke hai gulistaan tamaasha