dukH kee lahr ne chHeRa ho ga
yaad ne kankar pHeiNka ho ga
Aaj to mera dil kehta hai
tu Is waqt aakela ho ga
mere choome ho'e hatHooN se
aurooN ko khat likHta ho ga
bHeeg chaleeN ab raat kee palkeiN
tu ab tHak kar soya ho ga
rail kee gahree seetee sun kar
raat ka jungle gooNja ho ga
shahr ke khaalee staishan par
ko'ee musaafar utra ho ga
Aangan meiN pHir chiRyaan boleiN
tu ab so kar uTHa ho ga
yaadooN kee jaltee shabnam se
pHool sa mukHRa dHoya ho ga
motee jaisee shakal bana kar
Aa'ene ko takta ho ga
shaam ho'ee ab tu bHee shaayad
aapne gHar ko laoTa ho ga
neelee dHundlee khaamooshee meiN
taarooN kee dHun sunta ho ga
mera saatHee Shaam ka taara
tujh se AankH milaata ho ga
shaam ke chalte hatH ne tujh ko
mera salaam to bHeja ho ga.
piyaasee kurlaatee koonjooN ne
mera dukH to sunaaya ho ga
meiN to Aaj bahot roya hooN
tu bHee shaayad roya ho ga
Nasar tera meet purana
tujH ko yaad to Aata ho ga