Skip to main content

yaad kar woh din keh tera ko'ee saoda'ee na tHa


yaad kar woh din keh tera ko'ee saoda'ee na tHa
baawajood Husn to Aagah re'naa'ee na tHa

'shq roaz afzooN pah apne mujH ko Hairaanee na tHee
jalwa' rangeeN pah tujH ko naaz yakta'ee na tHa

deed ke qaabil tHee mere 'shq kee bHee saadgee
jabka tera Husn sargarm khud Aara'ee na tHa

kya ho'e woh din kah maHw Aarzoo tHe Husn o 'shq
rabt tHa doonooN meiN go rabt-e-shanasaa'ee na tHa

to ne Hasrat kee 'yaaN tehzeeb rasm-e-'aashqee
Is se pahle i'tbaar shaan ruswaa'ee na tHa

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.