Skip to main content

tuhmateiN chund apne Zimme dHar chale


tuhmateiN chund apne Zimme dHar chale
kis li'ye aa'e ham kya kar chale

zindagee hai ya ko'ee tufaan hai
hum to is jeene ke hatHooN mar chale

kya hameiN ab iN gulooN se ae saba
aik dam ai'e idHar udHar chale

dosto dekHa tamasha yaaN ke bas
tum raho ab ham to apne gHar chale

ah bas jee mat jala tab jani'e
jab ko'ee afsooN tera os par chale

DHoonDte heiN Aap se osko pare
sheikh saahib chHoR gHar bahar chale

ham jahaaN meiN aa'e the tanha wale
saatH apne ab osey le kar chale

jooN sharar ae hastee be bood yaaN
baare ham bHee apnee baaree bHar chale

saqiaa yaaN lag raha hai chal chala'o
jab talak bas chal sake saaghar chale

Dard kuchH ma'loom hai yeh log saab
kis taraf se ai'e the kidHar chale

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.