Skip to main content

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho

dastuur ibaadat kaa duniyaa se niraalaa ho
ik haath me.n maalaa ho ik haath me.n pyaalaa ho

puuje.nge saliiqe se andaaz magar apanaa
ho yaad-e-Khudaa dil me.n saaqii ne sambhaalaa ho

mastii bhii taqaddus bhii ek saath chale dono.n
ik simt ho maiKhaanaa ik simt shivaalaa ho

masjid kii taraf se tuu jaanaa na kabhii saaqii
zaahid bhii kabhii teraa na chaahanevaalaa ho

vo Duub ke mar jaaye.n madiraa kii suraahii me.n
maashuuq ne gar dil kii mahafil se nikaalaa ho

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.