Skip to main content

sar meiN sauda bHee naheeN dil meiN tamanna bHee naheeN


sar meiN sauda bHee naheeN dil meiN tamanna bHee naheeN
laikan Is tark-e-mohabbat ka bHarosa bHee naheeN

dil kee gintee na yaganoN meiN na beganoN meiN
laikan is jalwa-gah-e-naaz se uTHta bHee naheeN

shikwa-e-jor kare kya ko'ee os shookh se jo
saaf qa'al bHee naheeN saaf mukarta bHee naheeN

meharbanee ko mohabat naheeN kahte ae doast
Aah ab mujH se teree ranjish-e-bejaa bHee naheiN

baat yeh he keh sakoon-e-dil-waHshee ka maqaam
kunj-e-zindaaN bHee naheeN wus'at-e-saHra bHee naheeN

muddateiN hu'en ke teree yaad bHee aa'ee na hameiN
aur tumheiN bHool gaye hoN aisa bHee naheeN


Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng