Skip to main content

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa

dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaa.N honaa
aadamiyat yahii hai aur yahii insaa.N hoaa

nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGaa.N kyaa jaane.n
ko_ii naashaad sikhaa de inhe.n naalaa.N honaa

rah ke duniyaa me.n yuu.N tark-e-havas kii koshish
jis tarah apane hii saaye se gurezaa.N honaa

zindagii kyaa hai anaasir me.n zahuur-e-tartiib
maut kya hai inhii.n ijzaa kaa pareshaa.N honaa

dil asiirii me.n bhii aazaad hai aazaado.n kaa
valvalo.n ke liye mumkin nahii.n zindaa honaa

gul ko paamaal na kar laal-o-gauhar ke maalik
hai ise turaah-e-dastaar-e-Gariibaa.N honaa

hai meraa zabt-e-junuu.N josh-e-junuu.N se ba.Dhakar
nang hai mere liye chaak garebaa.N honaa
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.