Skip to main content

purasish-e-Gam kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahii.n

purasish-e-Gam kaa shukriyaa, kyaa tujhe aagahii nahii.n
tere baGair zindagii dard hai, zindagii nahii.n

daur thaa ek guzar gayaa, nashaa thaa ek utar gayaa
ab vo muqaam hai jahaa.N shikvaa-e-beruKhii nahii.n

tere sivaa karuu.N pasa.nd kyaa terii qaayanaat me.n
dono.n jahaa.N kii ne_amate.n, qiimat-e-ba.ndagii nahii.n

laakh zamaanaa zulm Dhaaye, vaqt na vo Khudaa dikhaaye
jab mujhe ho yaqii.n ki tuu haasil-e-zindagii nahii.n

dil kii shaguftagii ke saath raahat-e-mayakadaa ga_ii
fursat-e-mayakashi to hai, hasarat-e-mayakashii ga_ii

zaKhm pe zaKhm khaake jii, apane lahuu ke ghuu.NT pii
aah na kar, labo.n ko sii, ishq hai dillagii nahii.n

dekh ke Khushk-o-zard phuul, dil hai kuchh is tarah maluul
jaise terii Khizaa.N ke baad, daur-e-bahaar hii nahii.n

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.