Skip to main content

ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n


ab kii baras bhii vo nahii.n aayaa bahaar me.n
guzaregaa aur ek baras intazaar me.n

ye aag ishq kii hai bujhaane se kyaa bujhe
dil tere bas me.n hai na mere iKhtiyaar me.n

hai TuuTe dil me.n terii mohabbat teraa Khayaal
Khush-rang hai bahaar jo guzarii bahaar me.n

aa.Nsuu nahii.n hai aa.Nkho.n me.n lekin tere baGair
vo kaa.Npate huye hai.n dil-e-beqaraar me.n

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.