Skip to main content

maa.N sunaao mujhe vo kahaanii


maa.N sunaao mujhe vo kahaanii
jis me.n raajaa na ho na ho raanii
jo hamaarii tumhaarii kathaa ho
jo sabhii ke hriday kii gaathaa ho
ga.ndh jis me.n ho apanii dhaaraa kii
baat jis me.n ho apasaraa kii
ho na pariyaa.N jahaa.N aasamaanii
vo kahaanii jo ha.Nsanaa sikhaa de
peT kii bhuukh ko bhii miTaa de
jis me.n sach kii bhaarii chaa.Ndanii ho
jis me.n ummiid kii roshanii ho
jis me.n na ho kahaanii puraanii

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng