hai justajoo ka khoob se khoob tar kahaaN
ab THertee hai dekHe'e ja kar nazar kahaaN
heiN daur jaam awal shab meiN khudee se door
hotee hai Aaj dekh'e hum ko saHar kahaN
yaa rab Is ikhtalaat ka anjaam hoa bakhair
tHa osko ham se rabt magar Is qudar kahaaN
bas ho chuka biyaaN kasl-o-ranj raah ka
khat ka mirre jawaab hai ae naama bar kahaan
ham jis peh mar rahe heiN woh hai baat hee kuchH aur
'alam mein tujh se laakH sahee to magar kahaaN
hotee naheeN qubool d'aa turk-e-ishq kee
dil chahata na ho to zabaaN meiN acar kahaaN
Hali nishaat naghma-o-ma'e DHonDte ab
Aa'e hoe waqt subah rahe raat bHur kahan