Skip to main content

kuchH yaadgaar shahre sitamgar hee le chaleN


kuchH yaadgaar shahre sitamgar hee le chaleN
Aa'e heiN Is galee meiN to pathar hee le chaleN

yoon kis tarah kaTe ga kaRee dHoop ka safar
sar par khayaal-e-yaar kee chaadar hee le chaleN

ranj-e-safar kee ko'ee nishaanee to paas ho
tHoree see khaak koocha' dilbar hee le chaleN

yeh keh ke chaiRtee hai hameeN dil gariftgee
gHabra ga'e heiN Aap tu bahaar hee le chaleN

Is shahre be-charagh meiN ja'e gee tu kahaaN
Aa ae shab-e-faraaq tujHe gHar hee le chaleN

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng