Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2012

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay tumhare 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay darkhat par khabhi jo churion say dala tha us aik nisaan pay wahee sardion ka mosam hay yeh aik hum kay nayee bolian sada bolein tere zaba pay wahee sardion ka mosam hay sulg rahe hay dahan mayn qabayein lafzoon ke magar zaba pay wahee sardion ka mosam hay tumharay anay pay suraj kay hath chamkay gayein meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hay her aik simat peghlnay lagay hayn sanatay teray beeaan pay wahee sardion ka mosam hay jahaan jahaan tere khusbo kay rang bekhray hayn wahan wahan pay wahee sardion ka mosam hay tere judaee kay pal say hoaa hai ishk kanoot ke is jahaan pay wahee sardion ka mosam hay wo 'haan' karay gee baharoon mein uska wadaa tha us aik 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay woh mujhe ko sonp gaya faraktein december mayn darkhat-e-jaa pay wahee sardion ka mosam hay hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain per asma...

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon Jaan bejhoon tujhe yah dil ka dharakna bejhoon Maang loon apnay khuda se koi lamha aisa Jis peh tu aa keh tehr jaye who rasta bejhoon Sakht sardee mai Mohabbat ki Samoo doon Garmi Aur garma mai khunk mausam-e-aasa bejhoon Chand ratoon ka fasoon ab kay tere naam likhoon Din Ki Hiddat kay liye shajr gahna sa bejhoon Tashangee ab kay baras tujh se bohot duur rahay Piyaas umroon ki bujha dey who maseeha bejhhoon Tu Chalay gar Tu cheraagaan sitaare saath chalay Dil ase jo nikli dua usska khazeena bejhoon Umri khawhish keh Bahar aa ke tere ghar mein rahay Aur barsaat mein rhim jhim ka sandeesa bejhoon Kaash koi aisee Kiramat ho mere pass keh mein Duur Tak mausam-e-gul na ho main tujhe gancha bejhoon

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai Zindagi Akhri Hadoon Par Hai Janay Ab Dil Ka Kia Banay Yaroon Bey Kali Akhri Hadoon Par Hai Sang Honay Main Koi Deer Nahi Bey Hisi Akhri Hadoon Par Hai Roshni Lotnay WAli Hai Teragi Akhri Hadoon Par Hai Iss Say Bar Kar Karay Kia Farhat Maut Bhi Akhri Hadoon Par Hai

Shab wahi lekin sitara aur hai

Shab wahi lekin sitara aur hai ab safar ka isteaara aur hai mauj ke murrne mai kitni der hai naao daali aur dhara aur hai sukh k mausam unglyon par gin liye fasl e gham ka ghoshwara aur hai dair se palken nahi jhapki meri teshe jaan ab k nazara aur hai aur kuch pal uska rasata dekh loon aasma’n par aik tara aur hai sath to mera zamee deti magar aasma’n ka hi ishara aur hai

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!!

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!! Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain...!! Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai..!! Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain..... Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai...!! Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain....... Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai..... Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain....!! Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen...!! Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain...! Daagh Daman K Hon' Dil K Hon' Ya Chahre' K FARAZ Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain..!

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain. Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai Tu Kyun Kisipe U Marta Hai Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai Bharosa Kyu Itna Karta Hai Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha.. Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht-e-irada rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

    Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi. Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi. Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai.. Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi. Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi. Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.
wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi Adawatein thi Taghaful tha Ranjishen thi Magar Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi kisay pukaar raha tha wo doobte huey din sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho Baat itni b na brr jaye k ruswai ho Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho Dobne wale to aankho se b kub nikle hain Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta Chahta ye b nahi hon teri paspai ho Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho Aaj to baz'm mein har aankh thi pur'num jaise Daastaan meri kisi ne yahaan dohraai ho Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!

Hon gay juda hum es tarah imkan tu na tha

Hon gay juda hum es tarah imkan tu na tha Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha. ~~Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray….. Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha. … ~~Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia….. ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha. ~~Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi…… Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha. ~~Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut….. Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai

Kisi ka dard ho dil be-Qaraar apna hai Hava kahiN ki ho siinaa figaar apna hai Ho koi fasl magar zakhm khil hi jate hain Sadaa bahaar dil E daGhdaar apna hai Jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote hain Hazaar shukr gham E paaidaar apna hai Na tang kar dil E mehzuN ko ae gham E duniya Khudai bhar meN yehi Gham gusaar apna hai Wo koi apne siwaa ho to us ka shikwa karun Judaayii apni hai, aur intezaar apna hai...!!!

Yaad aataa hai roz O shab koi

Yaad aataa hai roz O shab koi Hum se rutha hai be sabab koi Lab E joo chhaaoN me darakhtoN ki Woh mulaaqaat thi ajab koi!! Jab tujhe pahli baar dekhaa tha Woh bhi tha mausam E tarab koi Kuchh khabar le K teri mahfil se Door baitha hai jaaN ba lab koi Na Gham E zindagi na dard E firaaq Dil meN yuNhi si hai talab koi Yaad aati haiN door ki baateN Pyaar se dekhta hai jab koi khaayi hai baarhaa lekin! Aaj to dard hai ajab koi Jin ko mitna tha mit chuke ‘Nasir’ Un ko ruswaa kare na ab koi...

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!! kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai shairy kia thi faqt shair ke pairahe main hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .

Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi

Duniya Badi Moo Zor Hai Bahi Yeh Bandaa Kamzor Hai Bahi Yahan Koi Kisi K Kaam Nein Ahta Ye Nafsa Nafsi Ka Daur Hai Bahi Kis Ko Mun Ka Meet Banahain Har Koi Yahan Chor Hai Bahi Mein Kisi Ko Dil De Baitha Ishq Pe Kis Ka Zor Hai Bahi Aise Mard Ko Janat Milay Gi Jo Dau Biwion Ka Shour Hai Bahi Duniya Ki Nazroon Mein Hum Chote Sehie  Dostoon Mein Apni Touhr Hai Bahi

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar Jo Sunaaii Dey Usey Chup Sikha jo Dikhaaii Dey Usey Khwaab Kar Abhi mUntashi Na ho AjnAbii Na Wisaal rutt Key Karam jatta Jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pey Yeh Abr Kyoun Mujhey Orhnay Dey Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar Kahien Aablon Key Bhanwar Bajien Kahien Dhoop Roop Badan Sajien Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj Dey Kabhi Chashm e Tar ko Chanaab Kar Yeh Hajoom e Sitam-Garaan Na Suney Ga Teri Sada Kabhii Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Sey Khataab Kar Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar Hai Tohii Dasta Yaar Saja Isey Koii Ashk Phir Sey Sharar Bana koii Zakhm Phir Sey gulaab Kar

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansu GhaM Ko BadnaaM Kar Gaye Aansu, Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya, Aaj To KaaM Kar Gaye Aansu, Log Phoolon Ke Sath Pahuche The, Aur HuM ThaaM Kar Gaye Aansu, HuM Kisike Na The Magar HuMko, Aap Ke NaaM Kar Gaye Aansu, Har Kisi Ne Lagaya DaaM, GaM Ko NilaaM Kar Gaye Aansu, Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein, Har Taraf ShaaM Kar Gaye Aansu, Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha, Aur Kuch KaaM Kar Gaye Aansu, Shayri Sirf Shayri Thi, Usko IlzaaM Kar Gaye Aansu..

Dil main dard samane wale kaise ho

Dil main dard samane wale kaise ho mujh ko chhor ke janay wale kaise ho neend nahen aati hai mujh ko raaton main meri neend churane wale kaise ho maine khud se barh kar tm ko chaha hai chahat ko thukrane wale kaise ho wada kiya tha tm nay sath nibhane ka wada tor ke jane wale kaise ho

Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun

Shamma jalaye rakhna jab tak ke main na aaun Khud ko bachaye rakhna jab tak ki main na aaun Zinda dilo se duniya zinda sada rahi hai Mehfil sajaye rakhna jab tak ke main na aaun Ye vaqt-e-imtehaan hain sabr-o-karar-o-dil ka Aansun chupaye rakhna jab tak ke main na aaun Hum tum milenge aise jaise judaa nahi the Saanse bachaye rakhna jab tak ke main na aaun

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain

fizaa k sard lehjay ki adain raqs karti hain gaye lamhon ki huwahesh main hwain raqs karti hain, sitary toot tay hain jab to ghar k eik konay main., kisi k surkh hontun per duaen raqs karti hain., kai basty gharoun per ik sannata sa chaya ha, kai khali makanoun main sadain raqs karti hain, suna ha rak kay pichlay peher darya k hontun per, kisi kachay gharray pe kuch wafain raqs karti hain, tumhain maloom ha k be-khabar barsaat k agay, kaii kachay gharoun main iltijaain raqs karti hain, hamara aftaab aey to darya k kinary per, fizaa main tairti chanchal shuwain raqs karti hain,

main shair hota to hijar ki shaam likhta

main shair hota to hijar ki shaam likhta tere naam muhabbt k peghaam likhta teri aankhon k sumandar main doob ker teri aankhon ka sagar tamaam likhta jab kabi tu maeri aankhon ko chumti teri honto k had ko jaam likhta agar teri badnaami ka dar na hota muhabbat ki ahani sar-e-aam likhta

teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho

teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho terey aanchal k urhne ko saba kehdoo'n tau kaisa ho bazahir chup ho lekin phir bhi aankho'n mai hai afsaney teri khamoshyo'n ko bhi sada kehdoo'n tau kaisa ho merey shikwe shikayat par bhi mujhse pyar karti ho teri chahat ko mai sab se juda kehdoo'n tau kaisa ho tumhare bin mera jeena barha dushwar lagta hai tumhe mai apne jeene ki waja kehdoo'n tau kaisa ho jo tum naraaz naa ho tau mujhe ikk baat kehni hai agar mai pyar se tumko wafa kehdoo'n tau kaisa ho

zaraa saa qataraa kahin aaj agar ubharata hai

zaraa saa qataraa kahin aaj agar ubharata hai samandaron hii ke lahaje mein baat karataa hai Khulii chhaton ke diye kab ke bujh gaye hote koii to hai jo havaaon ke par katarataa hai sharaafaton kii yahan koii ahamiyat hii nahiin kisii kaa kuchh na bigaaro to kaun Darataa hai zamiin kii kaisii viqaalat ho phir nahiin chalatii jab aasmaan se koii faisalaa utarataa hai tum aa gaye ho to phir kuchh chandanii sii baaten hon zamiin pe chaand kahan roz roz utarataa hai

Wo be-irada hi sahi Titlioon mein rehta hai

Wo be-irada hi sahi Titlioon mein rehta hai Ke mera dil to meri muthioon mein rehta hai Mein apne hath se dil ka gala daba doon ga Mere khilaaf yahi shazishoon mein rehta hai Bacha ke khud ko ghuzrna mahaal lagta hai Tamam shehar mere rastoon mein rehta hai Meri kitaab-e-Mohabbat mein uska ziker nahi Wo khush khayal ghalat fehmion mein rehta hai

manzar hai wohi thathak rahi hoon

manzar hai wohi thathak rahi hoon hairat se palak jhapak rahi hoon ye tuu hai ke meraa vaham hai band ankhon se tujh ko tak rahi hoon jaise ke kabhi na thaa taarruf yun milate hue jhijhak rahi hoon pahachaan main terii roshani hoon aur teri palak palak rahi hoon kyaa chain milaa hai sar jo us ke shaanon pe rakhe sisak rahi hoon ik umr hui hai Khud se larte ander se tamaam thak rahi hoon

Tum ho Key to dunya Sey Be-Zaar Kabhi Dekho

Tum ho Key to dunya Sey Be-Zaar Kabhi Dekho AankhOn Mein Kabhi Utro Us Paar Kabhi Dekho AaSOo Ki HaQeeqat tO hAi Zakham Sey Pe-WaSta Ghao ROoh Pey tUm Kha Kar Kabhi Dekho hOn Aankhien Jhaan dArd tO AanSOo hO Kahaanii Aisi Bhi kOii dUnya Eik Baar Kabhi Dekho Dil tOot Na Jaaye Ga Agar tUm jO Kabhi KhUd Ko Aaiyena e dUnya Main Be-Kaar Kabhi Dekho Dekho Gey Kabhi tUm Bhi Eik dOobtii Naao Ko Saahil Pey Kharey hO Kar Eik Baar Kabhi Dekho wO mUjh Sey Yeh Kehtey hAin ChOro Yeh Ajab Baatien Jazbaat Ki Lughat Mein tUm Pyaar Kabhi Dekho Parhtey jO Meri Aankhien tO Jaan Yeh Laitey wO Kuch lOg Nahii Kartey Izhaar Kabhi Dekho AurOn Kii Trah tUm Bhi bOlii Na Laga Daina Bahir jO Meray Ghar Key Khareedar Kabhi Dekho Is ShOr Mein tUm Meri Aawaaz Daba Daina Agar lOg Samaa'at Sey Be-Zaar Kabhi Dekho bOjhal jO Meri Aankhien Dekhien tO wO Kehtey hAin tUm So Key tO Ab "Mohsin" Eik Baar Kabhi Dekho....!!!

Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai

Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai Tumharay sheher mai logon muhabat roz bikti hai, Amir-e-sheher k dar ka abhi muhtaj hai Mazhab, Abhi Mulla k fatwoon mai Shareyat roz bikti hai, ... Hamare khoon ko bhi woh kisi din bech daly ga, Kharedaron k jhurmat mai Adalat roz bikti hai, Najanay Lutf kia milta hai in ko roz bikne mai, tawaef ki tarah logon Qeyadat roz bikti hai, Kabhi masjid k mimber pr kabhi hujre mai chup chup k, Mere waaez k lehjay mai Qeyamat roz bikti hai, Bari laachar hain Saqi jabenain in Gharebon ki, k Majbori ki Mandi mai Ibadar roz bikti hai...!!!

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai

Tark e muhabbat kar baithe hum zabt e muhabbat aur bhi hai Ek Qyaamat beet chuki hai, ek Qyaamat aur bhi hai Hum ne usi ke dard se apne saaNs ka rishta jor liya Wana shahr me zindaa rahne ki ek surat aur bhi hai Doobta suraj dekh ke khush rahna kis ko raas aaya Din ka dukh sah jaane walo, raat ki wahshat aur bhi hai Sirf rutoN ke saath badalte rahne par mauQoof nahi Us me bach_choN jaisi zid karne ki aadat aur bhi hai Meri bheegti palkoN par jab us ne donoN haath rakhe Phir yeh bhed khula in ashkoN ki kuchh Qeemat aur bhi hai Us ko gaNvakar ‘Mohsin’us ke dard ka Qarz chukaana hai Ek aziyyat maaNd paRi hai, ek aziyyat aur bhi hai....!!

Such kahoon ga to saza dein gay tere shehar ke log

  Such kahoon ga to saza dein gay tere shehar ke log Mujhko sooli par charha deingay tere shehar ke log Baaton baaton mein tera zikar kareingay mujhse Youn zakhmon ko hawa deingay tere shehar ke log Maine sadiyon mein hans'ney ka saleeqa seekha Khabar na thi ke pal mein rula deingay tere shehar ke log Main to shama hoon meri umar he kya hai Faraz Subah hotey he bujha deingay tere shehar ke log....!!!

Be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa

be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa manzuur hameN tabaah rahnaa yaaroN ko nasiib sar-faraazii mujhko terii gard-e-raah rahnaa dil aik ajiib ghar hai pyaare is ghar meN bhii gaah-gaah rahnaa gar yuNhii rahii diloN kii ranzisheN mushkil hai baham nibaah rahnaa bhar aayegii aaNkh bhii kisii din Khaalii nahiiN sarf-e-aah rahnaa “Nasir” ye vafaa nahiiN junuuN hai apnaa bhii na Khair-Khvaah rahnaa...!!!

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain

Ab yeh sochoon tu bhanwar zehan mein par jaatay hain Kaise chehray hain jo miltay hi bichar jaatay hain Kyon tere dard ko dain tuhmmat-e-weeraani-e-dil Zal'zalloon mein tu bharrray shehar bhi ujjar jaatay hain Muasam-e-zard mein ek dil ko bachaoon kaise Aisi rutt mein tu ghannay pairhh bhi jhar jaatay hain Ab kya koi mere kadmoon ke nishaan dhoondheyga Taiz aandhi mein tu khaimay bhi ukkhar jaatay hain Shiddat-e-ghum mein bhi zinda hoon tu hairat kaisi Kuch deye tu tund hawaoon se bhi larr jaatay hain Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khaatir Khud tarasheeda asooloon pe bhi arrh jaatay hain...!!!

Rahat e dil mata e jaan hay tu

Rahat e dil mata e jaan hay tu Aye gham e dost jawedaan hay tu Aansoun par bhi tera saya hay Dhoop k sar pe saibaan hay tu Dil teri dastaras main kyoun na rahay Is zameen par to aasmaan hay tu Shaam e sheher udaas k wali! Aye mere meherbaan kaha hay tu? Saya e abr e raigaan hoon main Mouj e beher e bekaraan hay tu Main tahe dast wa gard perahan Laal o almas ki dukaan hay tu Lamha bhar mil k roothnay walay Zindagi bhar ki dastaan hay tu Kufr o emaan k fasloun ki qasam Aye mata e yaqeen gumaan hay tu Tera iqraar hay nafi meri Mere asbaat ka jahaan hay tu Jo muqaddar sanwaar detay hain! Un sitaroun ki kehkashan hay tu Be nishaan be nishaan khayaam mere Karvaan karvaan rawaan hay tu Jaltay rehna chiraagh aakhr e shab Apne mohsin ka raazdaan hay tu....!!!!

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye jo sarab ho'n naa azaab ho'n woh rafaqtain mujhe chahiye unhain sama-ato'n ki talaash hain jo calendaro'n sey utar gayain jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye kahin mil sakai'n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya'n jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye jo meri shabo'n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay wohi loug hain meri aarzoo. wohi sooratai'n mujhe chahiye teri qurbatai'n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko mujhe faasilo'n sey dawam dein teri qurbatai'n mujhe chahiye mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai'n hain meri saibaa'n karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai'n mujhe chahiye....!!!!

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai

Ashk girtay hain meri saans sambhal jati hai de k ik dard naya shaam nikal jati hai us ko deakhon to mere dard ko milta hai sukoon us se bichroun to meri jaan nikal jati hai ishq kuch aisey mitata hay nishaan e hasti jaisey har raat ujaalay ko nigal jati hai zakham bharta he nahi us ki judai ka magar phir us ki yaad naya dard ugal jati hai wo agar dil pe mere haath he rakh de Mohsin" toot"ti saans bhi kuch dair sambhal jati hai....!!!!

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawatein

teri guftagu mein hai jo chashni jo tere labon mein halawatein na surur wo fasl-e-bahar mein na gulon mein latafatein kahan reh gain teri nighaten wo saba kidhar ko nikal gai teri ahaton ko taras gain mere jism-o-jan ki samatein tere ang ang main loch hai mere dil k soz-o-gadaz ka mere khoon-e-dil se raqam huin tere rang-o-bu ki hikayatein meri chashm-e-ghum dil-e-muztarib ghum-e-arazu ghum-e-justaju liye phir raha hun nagar nagar kisi mehraban ki amanatein.....!!!!

ek bas tuu hi nahi mujhse Khafa ho baitha

ek bas tuu hi nahi mujhse Khafa ho baitha main ne jo sang taraashaa vo Khudaa ho baitha uTh ke manzil hi agar aaye to shaayad kuch ho shauq-e-manzil me mera aabalaapaa ho baitha masalahat chhin gai quvat-e-guftar magar kuch na kaha na hi meri sadaa ho baitha shukriyaa ae mere qaatil ae masiihaa mere zahar jo tune diyaa thaa wo davaa ho baitha jaane 'Monis' ko main_jumlaa-e-aadaa paakar huuk wo utthi ke ji tan se judaa ho baitha.

har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo

  har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo  Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii har sangdil ko jaane-e-vafaa kah liyaa karo gar chaahate ho Khush rahe.n kuchh bandagaan-e-Khaas jitane sanam hai.n un ko Khudaa kah liyaa karo  insaan kaa agar qad-o-qaamat na ba.Dh sake tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa kah liyaa karo apane liye ab ek hii raah-e-nijaat hai har zulm ko razaa-e-Khudaa kah liyaa karo le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel" jab dil jale to us ko diyaa kah liyaa karo

Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein

  Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein  Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien Mein Khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf  Apne Badan ki kabr mein, Kab se Gadhaa hoon mein Kis kis ka naam laao Zubaan par ke tere saath  Har roz ek shaks naya Dekhta hoon mien Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam  Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein Le mere Tajrubo(n) se sabak, aye mere raqeeb  Do-Chaar saal umr mein, Tujhse bada hoon mien Jagaa huwa zameer woh aiyeena hai "Qateel"  Sone se pehlay roz, jise dekha thoon mein

Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad,

Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad, bna shayer bhi wo hi ,par dil me dard hone ke bad… ask piye ankho me lali aa jane ke bad, chhipaya dil-e-dard ko,dil ke ghayal ho jane ke bad…Har insaan ne… nazar nhi aata chehra-e-noor ,uske mohabbat karne ke bad, Jane wo bhi ab kaha kho gya ,mere nazar aane ke bad…Har insaan ne… dil to ab bhi daadkata hai ,uske bas jane ke bad, par dhadkane sirf usi ki hai,mohabbat me lut jane ke bad…Har insaan ne… rhoo tere aanchal ke saye me,kyamat tak aa jane ke bad, sou teri god me hi ,mout bhi aa jane ke bad…Har insaan ne…

pyaar ke dard likhte hai hzaaron

pyaar ke dard likhte hai hzaaron jo likhta hai iski khasiyat, koi usko nhi jaanta dil ajeeb hai galtiya kre hzzar pr szaa lene ko kabhi nhi hai manta rangeen hai zindagi iska karan hai pyaar pyaar ho skta hai kisko kise ke bi sath yaar vo oh chahe is kudrat se ya dosto se pyaar ke lakhon rang hai shumaar mushkil nhi hai pyaar pana, bas bachna hai mushkil isse jisne ise bnaya usne kuch nuksaan bi bnaye jo mane khuda ko is duniya me vo har jgah hr insaan me nazraana pyaar ka paaye duniya fir bi likhti hai pyaar ke dhoke yaad rkh n paaye khushi ke vo pal mar jayega vo ik saaas me jo pyaar se door hai ab pyaar ko maan khuda aur iske naam pr chal

khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein

  khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huey Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon

main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho tum jahan peh bayth k jati ho main waheen pe betha rehta hoon us cheez ko choota rehta hoon main aisi mohabbt karta hoon tum jis se huns k milti ho main us ko dost banata hoon tum jis rustay par chalti ho main us say aata jata hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho tum jin ko daykhti rehti ho wo khuwab....sarhanay rakhta hoon tum say milnay julnay k kitnay hi bahanay rakhta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho tum jahan bhi bayth k jati ho jis cheez ko hath lagati ho main waheen peh baytha rehta hoon us jaga ko choota rehta hoon main aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho kuch khuwab saja kar aankhoon main palkon say moti chunta hoon koi lums agar choo jaa a to main pehroon us ko sochta hoon main...aisi mohabbat karta hoon tum kaisi mohabbat karti ho jin logon main tum rehti ho tum jin say batain karti ho tum jin say huns k milti ho ...

Tanha Tanha Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand'

    Tanha Tanha Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand", Dil Se Baatein Karta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand", Uskay Pyaar Mein Khoye Hum, Uski Khatir Roye HUm, Dekh K Aksar Hansta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand", Sach Yeh Hai K Paraya Hai, Phir Bhi Dil Ko Bhaya Hai, Baat Meri Kab Sunta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand", Ik Din Thi Tanhai Buhat, Yaad Tumhari Aayi Buhat, Bilkul Tumsa Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand".....!!,

Adab Ki Had Mei HoN' Mei BeAdab Nahi Hota

adab ki had mei hoN' mei beAdab nahi hota tumhara tazkira ab roz O shab nahi hota kabhi kabhi to chalak perti haiN younhi aankhaiN Udaas honay ka koi sabab nahi hota kai ameero'N ki mehroumia'N na poch k bas ghareeb honay ka ahsaas ab nahi hota mei waldaieN ko ye baat kaisay samjhao'N muhabbatoN mei hasab o nasab nahi hota Wahan k log baray dilfaraib hotay ha'N mera behakna bhi kuch ajab nahi hota Mei us zameen ka deedaar kerna chahta hu'N jaha'N kabhi be khuda ka ghazab nahi hota

Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala

Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala men chal raha tha umangon ke walwale le kar kisi ki yaad ne jeena haram kar dala Azeem kaam the mere jawansali mein mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala chalan ke khas zawabit the umre rafta men shajar se toot para be-lagam kar dala dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala
Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast Phir to paimaan-e-wafa sau martaba main ne kiya Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey es dil kay hathon bohat majboor rahey

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun,

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun, Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun, TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun, Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se

    Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se, Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se, Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se, Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se, Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se, Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se, Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se...

Tujhe bhoolne ki koshish mein

Tujhe bhoolne ki koshish mein, Jab dil ye zid pe aa gaya, Main aankh moond ke baith gaya, Tu khayaal pe phir chaa gayi? Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa, Meri nabz Thehr naa jaaye kahin, Tune Waqt kiya mera lamha lamha, Magar maut ko aasaan bana gayi? Meri har daleel ko kiya ansuni, Meri fariyaad bhi to suni nahin, Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu, Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi? Mujhe chaand ki kabhi talab na thi, Mujhe suraj ki bhi fikar nahi, Bas aankh kholna hi chahte the ham, Magar Tu roshni hi bujha gayi? Beshak bhoolna tujhe chaha bahut, Hans kar kabhi, ro kar kabhi, De kar ye aansuon ki saugaat mujhe, Tu daaman apna bacha gayi .

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai.. Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai? Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez.. Maine kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai? Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand.. Maine kaha Woh Sama jo ab tak Udhaar hai? Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge.. Maine kaha jitni ye Saanson ki Taar hai? Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah.. Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai?

Teri khushbu ka pata karti hai

Teri khushbu ka pata karti hai Mujh pe ehsan hawa karti hai Shab ki tanhai main ab to aksar Guftagu tujh se raha karti hai Dil ko us rah pe chalna hi nahin Jo mujhe tujh se juda karti hai Zindagi meri thi lekin ab to Tere kahne main raha karti hai Us ne dekha hi nahin warna ye ankh Dil ka ehwal kaha karti hai Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht Ret par nam likha karti hai Sham parte hi kisi shakhs ki yad Kucha-e-jan main sada karti hai Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk Hal jo tera ana??? Karti hai Dukh hua karta hai kuch aur bayan Bat kuch aur hua karti hai Abr barse to inayat us ki Shakh to sirf dua karti hai Masla jab bhi utha chiragon ka Faisala sirf hawa karti hai

Tumein paa k khona mare bas main nahe

Tumein paa k khona mare bas main nahe Ab koe aur zakham pirona mare bas main nahe, Ek umr tk dhoya hai dil k dagoon ko Ab ye dagh dhona mare bas main nahe, Jaag chuke hain bohat shab ki tanhaiyon main k Ab raton ko sona mare bas main nahe hai, Khushyon ki aakhri umeed le k aaya hon tere dar py Dukhon main ab rona mare bas main nahe, Tere baad nazar aati nahe mujhy koe b manzil Kisi aur ka hona ab mare bas main nahe……

Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri

Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri Ajeeb cheez hai ….. ye gerdish-e-zamaana bhi Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri.

yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango

yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango apne hi gale k liye talwar na mango gir jaoge tum apne masiha ki nazar se mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi kanton se kabhi phul ki mahkar na mango sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala jina hai to phir Jurrat e izhar na mango us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango

Agar wo pyaar kar laiti

                                                       Agar wo pyaar kar laiti                                                       Maira daaman pakaR laiti                                                   ...

GALTI MERI THI

GALTI MERI THI” Usne mujhe chaha hi nahi’ Main chahat samajh betha . “GALTI MERI THI” . Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samjh baitha . “GALTI MERI THI” . Wo to har baat par haan karti thi Main hi iqraR samjh baitha . “GALTI MERI THI” . Usne mujh se ziyada ehmiyat di mere doston ko Main uski ye ada mazakh samjh baitha . “GALTI MERI THI” . Usne kaha bhi tha koi or hai meri zindagi mEin Main hi khud ko uski zindagi samajh baitha . “GALTI MERI THI’

Jo daagh dil paiy lagay unn ko mita kar jeetay

Jo daagh dil paiy lagay unn ko mita kar jeetay Kaisay hum onn ke jafaon ko bhola kar jeetay Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay Ya tau pathar ka koe bott he bana kar jeetay Na andhaira na swaira na kiran ke koe umeed Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay Jaanay wala koe sobha ka bhoola na thha Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay Rung pheekay thhay chaman main bhe gulon k warna Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay Na koe hud haiy ulfat mai azaadari kee Na he laazim thha k hum ansoo baha kar jeetay Zindagi bhe tau badalti haiy thikaanay shaukat Warna momkin thha galay isko laga kar jeetay

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain

Zindagi ke raahon main runge-o-gham k mailay hain Chaar soo andhairay hain un ginnat jhamailay hain Kishtiyan hain kaaghaz ki barishon ka mousam hay Aandhiyon k jhhakad main paaniyon k railay hain Dard ka sumdar hay mohabaton ke baazi main Ghamo ke rawani main dard kitnay jhailay hain Tum bina adhori hay zindagi dau pal ke hay Ansoowon k darya main kis qader akailay hain Na tammam ruston main doshmanno k pehray hain Baywafa zamanay nay khail kaisay khailay hain Kis ko maan lain apna kis say doshmanni rakhain Iss baibasi main ghum baishumaar jhailay hain Baat ik lumhay ke hay waqat kab maeyeser hay Khawhishein hazaron hain haath meray phailay hain Aa k tum he rakh jaao dil pay haath shaukat k Dooor reh k batoon say dil kis k behlay hain

Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna

Tum apni aankhon main ghum k budlay shararton ko saja k rakhna Kabhi jo aansoo nikal parain tau anna ke khhatir chhupa k rakhna Na dil dukhana kabhi tum apna udaas raaton ke chaandni saiy Sambhal rakhna tum apni saansain udasiyun ko mita k rakhna Kehin ye furqat ke seeyah raatain tumharay ghar main na phail jaaien Jo bujh gaaiy hain charagh saray unhi ko phir saiy jala k rakhna Na apnay aanchal k sub rungoan ko safaid karna seeyah karna Abhi tau jeewan ke rut jawan hay osi ko dil main basa k rakhna Ajab nehi hay jo kal na budlay isi jahan main naseeb tera Khushi k lumhon ke ass rakhna khushi saiy chehra saja k rakhna Jahan main phirtay hain hum akailay tumhi naiy khoya nehi kisi ko Tum apni halat ka khayal rakhna ore gaisoowon ko bana k rakhna Na aana baaton main dushmano ke jo hogaya hay wo hogaya hay Bas sooch apni blund rakhna nigahain apni jhoka k rakhna Abhi saiy shaukat chhalak raha hay ghumon saiy paimana kyun tumhara Wo teri soochon main gar hay shamil t...

Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna

Ab kar k kisi ore ka intezar daikhna Apnay humaray darmiyan deewar daikhna Thhokra k aap nay humain achha sila diya Hum thhay k hum nay chaha so bar daikhna Lehra diye aap nay parday fizaon main Dushwar kar diya husn-e-yar daikhna Milnay ke aap ko kabhi fursat nehi mili Hum thhak gaeiy simt coo-e-yar daikhna Janay kahan say aap nay seekhien adawatain Mushkil nehi thha warna ik bar daikhna Maeyeser kabhi jo aap ko aaiyen mohobatain Palaray main rakh k aap mera payar daikhna Kyun aap ko haasil howa zulmaton ka haq Kis nay diya aap ko ekhteyaar daikhna Kaisay bhoolayien gaiy unhain shaukat khaber nehi Apnay jigar ke taqat-e-izhaar daikhna

Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah

Alag kab thhe ik manzil saiy tumhari rah humari rah Juri thhe aik bundhan saiy tumhari rah humari rah Na phoolon main na khushboo main na moasum main talatum thha Ajab bay khoaf lagti thhe tumhari rah humari rah Chalay jana sunatay geet humara dooor tak aksar Humain mudhoosh rakhti thhe tumhari rah humari rah Chamman main koch nehi badla siwae hum nasheenoN k Wohi hain hum juda hay ab tumhari rah humari rah Humari zeest k badmast lumhon main wo ik lumha Bana de jis nay baimaqsad tumhari rah humari rah Chalo inkaar kartay hain mohobat k asooloN saiy Ore ab dooor saiy daikhain tumhari rah humari rah Mujhay ab sath laikar tum chalo shaukat onn ruston pay Jahan main daikh sakoon her dum tumhari rah humari rah

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar Jeenay main kehin sokh ore kehin dard-e-jahan hai Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay Na he tum nai diya zeher peenay mujhay Teri furqat kee ghadyaan yun lambi hoein Perd gaey kam saal ore maheenay mujhay Her sobho laiy kar aaye gham-e-nau meri Her roz he perday zakhm seenay mujhay Roz jeeta raha wasl ke chah main Aansowon nai seekhaey qreenay mujhay Hoein gharqaab aas ore umeedain meri Bohat mehengay perday ye dafeenay mujhay Zad main kishti meri hai toofaan k Gharaq kar dain na meray safeenay mujhay Rabt teray siwa ore kisi sai na thha Sirf maara teri ik nehin nay mujhay Daikh shaukat jahan k taiwer bhe tou Paaon rakhnay diya na zameen nay mujhay

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha Iss naam k insaan yahan aam bohat hain Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain Taareef kron teri mohobat ke zaban main Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mein

Dress Up Games Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mein Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mein Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mein Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mein Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mein Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mein Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mein

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal Aik viiraan haal chhor gayaa Zaala-baarii ke marhalon kaa safar Qaafile, paayemaal chhor gayaa Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa Main bhii ab khud se huun javaab-talab Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

Bimar Hain To Ab Dam-E-Isa Kahan Se Aye

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai ab admi ko zindagi karna kahan se aye wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya be-ab ainon main sarapa kahan se aye sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye gam k thapere le gaye nagin se lambe bal raton main jangalon ka wo saya kahan se aye ?Naheed? faishanon ne chupaye hain aib bhi chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye

Na SOchna K Zamanay Say dArr Gye hUm Bhii

  Na SOchna K Zamanay Say dArr Gye hUm Bhii Teri Talash Mein GhairOn Kay Ghar Gye hUm Bhii Chura Lien hUm Say Bhi Is KhUd-Prast Nay Aankhien Dil Habeeb Say Aakhir Utar Gye hUm Bhii ... wO SangDil Hii JaffaaOn Say hO Gya Taaiyb Katanay jAb Dar Qatl Par Sar Gye hUm Bhii PaSeeja Dil Na Kisii Ka hUmaray AshkOn Say Har AaStaaN Pay Liye Chashm e Tarr Gye hUm Bhii jO Dekha KaliyOn Ko tUjh Par NiSaar hOtay hOye tO Rang Ban Kay Fizza Mein BiKhar Gye hUm Bhii jAb Is Kay zOaq e NAzar Ka hUaa bOhet CharCha WafOor e ShOq Say Ik Din Sanwar Gye hUm Bhii bOhet Say Ishq Kii RaahOn Mein Pull-Saraat Aaye Kisi Ka Naam Liya Aur Guzar Gye hUm Bhii mUhaal Tha K hUm Aey "Josh" Zinda Reh Saktay Firaaq e Yaar Mein Aik rOz Mar Gye hUm Bhii..!!!

Teri yadon se kya nahin seekha...

Teri yadon se kya nahin seekha... Be sabab to nahin teri yaden Teri yadon se kya nahi seekha Zabt ka husla barha lena Ansuon ko kahin chupa lena Kanpti dolti sadaon ko chipki chadar se dhanp kr rakhna Jab b ho baat koi takhi ki Mozu-e-guftagu badal dena Besabab to nahi teri yaden Teri yadon se kya nahin seekha...

Phire ga Tun Bhi Younhi Kobko Hamari tarhan

Phire ga Tun Bhi Younhi Kobko Hamari tarhan Dareda e Daman wo Ashfata hamari tarhan Kabi to Sang Se Phoote gi Abjo gahm Ki Kabi to Tot kar Roy ga Tu Ahmari tarhan ... Palat kar Tujhe bi ana Hai is ki Taraf lekin Luta ke Qafla e rang o bo hamari tarhan Wo Lakh dushman e jan hon magar khuda na kare ke i s ka hal bi ho Ho baho hamari tarhan Humi Faraz Sazawar Sang kiun tehre ke Or bi To hain Deewana khu hamari tarhan.

Dil pe jo Tere Ghum ki Inayat Nahi Hoti

Dil pe jo Tere Ghum ki Inayat Nahi Hoti Aankhon se Aansuon ki Rafaakat Nahi Hoti Hum Rehnuma se iltiJaa kare Tou Kyun kare Dariya ko Raaston ki Zaroorat Nahi Hoti Bujhta hai ai Chiraag-e-Zindagi tou Bujh Jaye Aab Humse Teri aur Hifaazat Nahi hoti Jane Yeh Log Kaise Nibhate hai Jafaaein Humse Tou iss Gunaah ki Himmat Nahi Hoti Patthar Kahoon Use Tou Kis Zuban Se Kahoon Pattharon Mein itni Nazakat Nahi Hoti Tujhko Gaye Hue tou Zamane Guzar Gaye Yaad Teri iss Dil se Kyun Rukhsat nahi Hoti Jo Bhul Jaye Tumko tum Bhi Usko Bhula Do Woh Mohabbat tou Mohabbat nahi Hoti

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha ... Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi Doori Ka Yeh Tilism Bara Kaargar Raha Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir’ Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

Hui Hai Shaam Tou Aankhon mein Bas Gayaa Phir tu

Hui Hai Shaam Tou Aankhon mein Bas Gayaa Phir tu, Kahaan Gayaa hai mere Shahar ke Musaafir tu, ... Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se, Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu, Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu, Main Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii Main Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu, Hansii Khushii Se Bichhar Jaa agar Bichharnaa hai Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,? ‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..