Skip to main content

Na SOchna K Zamanay Say dArr Gye hUm Bhii

 
Na SOchna K Zamanay Say dArr Gye hUm Bhii
Teri Talash Mein GhairOn Kay Ghar Gye hUm Bhii

Chura Lien hUm Say Bhi Is KhUd-Prast Nay Aankhien
Dil Habeeb Say Aakhir Utar Gye hUm Bhii
...
wO SangDil Hii JaffaaOn Say hO Gya Taaiyb
Katanay jAb Dar Qatl Par Sar Gye hUm Bhii

PaSeeja Dil Na Kisii Ka hUmaray AshkOn Say
Har AaStaaN Pay Liye Chashm e Tarr Gye hUm Bhii

jO Dekha KaliyOn Ko tUjh Par NiSaar hOtay hOye
tO Rang Ban Kay Fizza Mein BiKhar Gye hUm Bhii

jAb Is Kay zOaq e NAzar Ka hUaa bOhet CharCha
WafOor e ShOq Say Ik Din Sanwar Gye hUm Bhii

bOhet Say Ishq Kii RaahOn Mein Pull-Saraat Aaye
Kisi Ka Naam Liya Aur Guzar Gye hUm Bhii

mUhaal Tha K hUm Aey "Josh" Zinda Reh Saktay
Firaaq e Yaar Mein Aik rOz Mar Gye hUm Bhii..!!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng