Skip to main content

Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay


Na tau dokh nai diya sukh sai jeenay mujhay
Na he tum nai diya zeher peenay mujhay

Teri furqat kee ghadyaan yun lambi hoein
Perd gaey kam saal ore maheenay mujhay

Her sobho laiy kar aaye gham-e-nau meri
Her roz he perday zakhm seenay mujhay

Roz jeeta raha wasl ke chah main
Aansowon nai seekhaey qreenay mujhay

Hoein gharqaab aas ore umeedain meri
Bohat mehengay perday ye dafeenay mujhay

Zad main kishti meri hai toofaan k
Gharaq kar dain na meray safeenay mujhay

Rabt teray siwa ore kisi sai na thha
Sirf maara teri ik nehin nay mujhay

Daikh shaukat jahan k taiwer bhe tou
Paaon rakhnay diya na zameen nay mujhay

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng