Skip to main content

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun,


Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng