Skip to main content

Hui Hai Shaam Tou Aankhon mein Bas Gayaa Phir tu

Hui Hai Shaam Tou Aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
Kahaan Gayaa hai mere Shahar ke Musaafir tu,

... Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,

Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,

Main Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Main Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,

Hansii Khushii Se Bichhar Jaa agar Bichharnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?

‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.