Skip to main content

teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho

teri zulfain bikharne ko ghata kehdoo'n tau kaisa ho
terey aanchal k urhne ko saba kehdoo'n tau kaisa ho

bazahir chup ho lekin phir bhi aankho'n mai hai afsaney
teri khamoshyo'n ko bhi sada kehdoo'n tau kaisa ho

merey shikwe shikayat par bhi mujhse pyar karti ho
teri chahat ko mai sab se juda kehdoo'n tau kaisa ho

tumhare bin mera jeena barha dushwar lagta hai
tumhe mai apne jeene ki waja kehdoo'n tau kaisa ho

jo tum naraaz naa ho tau mujhe ikk baat kehni hai
agar mai pyar se tumko wafa kehdoo'n tau kaisa ho

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng