Skip to main content

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.

Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain

Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain

Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka
Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain

Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan
Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng