Skip to main content

har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo

 
har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo 


Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaane-e-vafaa kah liyaa karo



gar chaahate ho Khush rahe.n kuchh bandagaan-e-Khaas
jitane sanam hai.n un ko Khudaa kah liyaa karo 


insaan kaa agar qad-o-qaamat na ba.Dh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa kah liyaa karo


apane liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa kah liyaa karo



le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diyaa kah liyaa karo

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.