Skip to main content

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye

meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye
jo sarab ho'n naa azaab ho'n woh rafaqtain mujhe chahiye

unhain sama-ato'n ki talaash hain jo calendaro'n sey utar gayain
jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye

kahin mil sakai'n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya'n
jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye

jo meri shabo'n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay
wohi loug hain meri aarzoo. wohi sooratai'n mujhe chahiye

teri qurbatai'n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko
mujhe faasilo'n sey dawam dein teri qurbatai'n mujhe chahiye

mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai'n hain meri saibaa'n
karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai'n mujhe chahiye....!!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.