Skip to main content

Be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa

be minnat-e-Khizr-e-raah rahnaa
manzuur hameN tabaah rahnaa


yaaroN ko nasiib sar-faraazii
mujhko terii gard-e-raah rahnaa


dil aik ajiib ghar hai pyaare
is ghar meN bhii gaah-gaah rahnaa



gar yuNhii rahii diloN kii ranzisheN
mushkil hai baham nibaah rahnaa


bhar aayegii aaNkh bhii kisii din
Khaalii nahiiN sarf-e-aah rahnaa


“Nasir” ye vafaa nahiiN junuuN hai
apnaa bhii na Khair-Khvaah rahnaa...!!!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.