Skip to main content

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai


Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai?

Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez..
Maine kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai?

Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand..
Maine kaha Woh Sama jo ab tak Udhaar hai?

Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge..
Maine kaha jitni ye Saanson ki Taar hai?

Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah..
Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai?

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.