Skip to main content

Dil pe jo Tere Ghum ki Inayat Nahi Hoti


Dil pe jo Tere Ghum ki Inayat Nahi Hoti
Aankhon se Aansuon ki Rafaakat Nahi Hoti

Hum Rehnuma se iltiJaa kare Tou Kyun kare
Dariya ko Raaston ki Zaroorat Nahi Hoti

Bujhta hai ai Chiraag-e-Zindagi tou Bujh Jaye
Aab Humse Teri aur Hifaazat Nahi hoti

Jane Yeh Log Kaise Nibhate hai Jafaaein
Humse Tou iss Gunaah ki Himmat Nahi Hoti

Patthar Kahoon Use Tou Kis Zuban Se Kahoon
Pattharon Mein itni Nazakat Nahi Hoti

Tujhko Gaye Hue tou Zamane Guzar Gaye
Yaad Teri iss Dil se Kyun Rukhsat nahi Hoti

Jo Bhul Jaye Tumko tum Bhi Usko Bhula Do
Woh Mohabbat tou Mohabbat nahi Hoti

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.