yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango
apne hi gale k liye talwar na mango
gir jaoge tum apne masiha ki nazar se
mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango
khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi
kanton se kabhi phul ki mahkar na mango
sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala
jina hai to phir Jurrat e izhar na mango
us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai
sehra mein kabhi saya-e-diwar na mango