Skip to main content

Tanha Tanha Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand'

 
 
Tanha Tanha Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",
Dil Se Baatein Karta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Uskay Pyaar Mein Khoye Hum, Uski Khatir Roye HUm,
Dekh K Aksar Hansta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Sach Yeh Hai K Paraya Hai, Phir Bhi Dil Ko Bhaya Hai,
Baat Meri Kab Sunta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Ik Din Thi Tanhai Buhat, Yaad Tumhari Aayi Buhat,
Bilkul Tumsa Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand".....!!,

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.