laboN pe phuul khilte haiN kisi ke naam se pehle diloN ke diip jalte haiN chiraagh-e shaam se pehle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiiN paata kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the yahi suuraj nikalta tha tumhaare baam se pehle diloN ki jagmagaati bastiyoN pe raaj karte haiN yahi jo log lagte haiN nihaayat aam se pehle hui hai shaam jungle meiN parinde lauTte hoNge ab in ko kis tarah rokeN navah-e-daam se pehle ya saare rang murda the tumhaari shakl ban_ne tak ya saare harf mohmal the tumhaare naam se pehle hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham saza tasliim karte haiN kisi ilzaam se pehle
Urdu Shayari world 786 is such a website which provide you all kinds of poetry new and old in Indian and Pakistani Collections of poets are available. The Poetry is in every sense enough to suit every occasion like romantic poetry Attitude Poetry sad poetry Faiz Ahmed Faiz Poetry Ahmed Faraj Poetry Mirza Ghalib Poetry Parveen Shakir poetry, John Elia Poetry we hope that you will like our little effort.