marne ka tire Gham meiN iradah bhi nahiiN hai
hai ishq magar, itna ziyaadah bhi nahiiN hai
hai yuuN k ibaadat ki zabaN aur hai ko’ii
kaaGhaz mirii taqdeer ka saadah bhi nahiiN hai
kyuN dekhte rehte haiN sitaroN ki taraf hum
jab unse mulaqaat ka vaadah bhi nahiiN hai
kyuN raah ke manzar meiN ulhaj jaati haiN aankheN
jab dil meiN ko’ii aur iradah bhi nahiiN hai
kyuN uski taraf dekh k paaoN nahiiN uThte
wo shaKhS haseeN itna ziyaadah bhi nahiiN hai
kis moR pe le aaya hameN hijr-e-musalsal
taa had- e-nigaah vasl ka vaadah bhi nahiiN hai
paththar ki tarah sard hai kyuN aaNkh kisii kii
Amjad jo bichaRne ka iradah bhi nahiiN hai