Skip to main content

zindagi dard bhii, dava bhii thii

zindagi dard bhii, dava bhii thii
hamsafar bhii guraizpaa bhii thii

kuch to the dost bhii wafa dushman
kuch mirri aankh meN haya bhii thii

din ka apna bhii shor thaa laikin
shab ki aavaaz be Sada bhii thii

ishq ne ham ko Ghaibdaan kiyya
yahi tuhfa , yahi saza bhii thii

gardbaad-e-vafaa se pehle tak
sar pe khaima bhii thaa rida bhii thii

maaN ki aankheN charaGh thiiN jis meN
mere hamraah vo dua bhii thii

kuch to thii rehguzar meN shama-e-talab
aur kuch tez vo hava bhii thii

be vafa to vo khair thaa Amjad
laikin us meN kahiiN vafa bhii thii

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.