Skip to main content

terii zad se nikalnaa chaahtaa hai

terii zad se nikalnaa chaahtaa hai
yeh daryaa ruKh badalna chaahtaa hai

voh sapnaa jiski suurat hii nahiiN hai
mirii aankhoN meiN palnaa chaahtaa hai

diloN ki maaNdgi hai kyaa ta'jjub
k suuraj bhi to Dhalna chaahtaa hai

nishast-e-dard badlii hai to ab dil
zaraa pehluu badalnaa chaahtaa hai

havaa hai baNd aur sholaa wafaa kaa
bahot hii tez jalnaa chaahtaa hai

yeh dil is gard baad-e-zindagii meiN
bas ik lamhaa sambhalnaa chaahtaa ha

i mujhe bhii saamnaa hai karbalaa kaa
miraa sar bhi uChhalna chaahtaa hai

nahiiN haiN tarjumaan-e-gham yeh aaNsuu
yeh paanii ab ubalna chaahtaa hai

guzashta sohbatoN ka ek lashkar
mire hamraah chalnaa chaahtaa hai

un aaNkhoN ki adaa kehti hai Amjad
koi patthar pighalnaa chaahtaa hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.