Skip to main content

mile kaise sadioN kii pyaas aur paani, zara phir se kehna

mile kaise sadioN kii pyaas aur paani, zara phir se kehna
baRi dilruba hai yeh saari kahani, zara phir se kehna

kahaaN se chala tha judaai ka saaya, nahiiN dekh paaya
k raste meN thii aansuoN ki ravaani, zara phir se kehna

hava yeh Khabar tuu sunaati rahe aur maiN sunta rahuN
badalne ko hai ab yeh mausam Khizaani, zara phir se kehna

mukar jaane vaala kabhi zindagi meN khushi phir na paaye
yuNhi Khatm ker leN chalo yeh kahaani, zara phir se kehna

samay ke samandar! kaha tu ne jo bhi suna, par na samjhe
javaani ki naddi meN tha tez paani, zara phir se kehna

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng