kisii kii aaNkh jo purnam nahiiN hai

kisii kii aaNkh jo purnam nahiiN hai
na samajho yeh k us ko gham nahiiN hai

savaad-e-dard meiN tanhaa khaRaa huuN 
palaT jaauuN magar mausam nahiiN hai

samajh meN kuchh nahiiN aataa kisii kii 
agarche guftaguu mub_ham nahiiN hai

sulagtaa kyuN nahiiN taariik jaNgal 
talab kii lau agar maddham nahiiN hai

ye bastii hai sitam parvar digaaN kii
yahaaN koii kisii se kam nahiiN hai 

kinaaraa duusra dariyaa ka jaise 
vo saathii hai magar mahram nahiiN hai 

diloN kii raushnii bujhne na denaa 
vajuud-e-tiiragii muhkam nahiiN hai 

maiN tum ko chaah kar paChhtaa rahaa huuN 
koii is zaKhm kaa marham nahiiN hai 

jo koii sun sake Amjad to dunyaa
bajuz ik baaz gasht-e-gham nahiiN hai