Skip to main content

jo utar k ziinaa-e-shaam se tirii chashm-e-Khush meiN samaa gaye

jo utar k ziinaa-e-shaam se tirii chashm-e-Khush meiN samaa gaye
vuhii jalte bujhte se mehr-o-maah mirre baam-o-dar ko sajaa gaye

ye jo aashiqui ka hai silsila, hai ye aSl meiN koi maujza
ke jo lafz mere gumaaN meiN the, vo tirri zubaaN pe aa gaye

vho jo giit tum ne sunaa nahiiN mirii umr bhar kaa riyaaz thaa
mirre dard kii thii vo daastaaN jise tum haNsii meiN uRaa gaye

vo charaagh-e-jaaN kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguuN huii
tirii bevafaaii ke vasvase use chupke chupke bujhaa gaye

voh thaa chaaNd shaam-e-visaal kaa k thaa ruup tere jamaal kaa
merii ruuh se mirii aaNkh tak kisii raushnii meN nahaa gaye

yeh jo bandagaan-e-niyaaz haiN yeh tamaam haiN vuhii lashkarii
jinheN zindagii ne amaaN na dii to tirre huzuur meN aa gaye

tirii beruKhii ke dayaar meN maiN havaa ke saath havaa huaa
tirre aa’iine kii talaash meN mere Khvaab chehraa gaNvaa gaye

tirre vasvasoN ke fishaar meiN, tiraa shahr-e-rang ujaR gayaa
mirii KhvaahishoN ke ghubaar meN mirre maah-o-saal-e-vafaa gaye

vo ajiib phuul se lafz the tirre hoNT jin se mahak uThe 
mere dasht-e-Khwaab meN duur tak koii baagh jaise lagaa gaye

mirii umr se na simaT sake mirre dil meN itne savaal the
tire paas jitne javaab the tirii ik nigaah meN aa gaye

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.