Skip to main content

karwaan Poetry

Main akela hi chala tha jaanib-manzil, magar,
Log saath aate gaye aur karwaan banta gaya. 
Author : Majrooh Sultanpuri

Wohi karwa’an, wohi raaste, wohi zindagi, wohi marhale …

Magar apne apne maqam par kabhi tum nahi kabhi hum nahi
Author :unknown


Tu bhi aamaada-e-safar ho,Firaq
Qaafile ustaraf lage jaane.
Author : Firaq Gorakhpuri


Bichar Kar Karwaan Se Men Aisa Hua Tanhaa ...

Thaka Tanha Gira Tanha Utha Tanha Chala Tanha ...!! *
Author :unknown


Raftgaan ke jahaan mein hum bhi ham,
Saath is karwaan ke hum bhi ham.
Author : Mir Taqi Mir

Qaafile mein subah ke ik shor hai,
Yaani ghaafil hum chale, sota hai kya!
Author : Mir Taqi Mir

Sar zameen-e-Hind par aqwaam-e-aalam ke Firaq,
Karwaan aate gaye, Hindustan banta gaya.
Author : Firaq Gorakhpuri

Safar karte hue manzil ba manzil ja rahe hain hum,
Mujhe yeh saari duniya karwaan maaloom hoti hai.
Author : Mehroom

Hazaaron manzilen hon gi hazaron karwaan hon ge,
Bahaarein hum ko dhoonde gi, na jane hum kahan hon ge..
Author :unknown