Skip to main content

Nizam Rampuri Poetry

**a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath** 

a.nga.Daa_ii bhii vo lene na paaye uThaa ke haath 
dekhaa mujhe to chho.D diye muskuraa ke haath

besaaKhtaa nigaahe.n jo aapas me.n mil ga_ii.n 
kyaa muu.Nh pe us ne rakh liye aa.Nkhe.n churaa ke haath

[besaaKhtaa=suddenly]

vo zaanuo.n pe siinaa chhupaanaa simaT ke haay 
aur phir sambhaalanaa vo dupaTTaa chhu.Daa ke haath

[zaanuo.n=thigh/lap]

denaa vo us kaa saaGar-e-may yaad hai "Nizam" 
muu.Nh pher ko udhar ko idhar ko ba.Dhaa ke haath



**TuuTe huye dilo.n kii duaa mere saath hai** 

TuuTe huye dilo.n kii duaa mere saath hai 
duniyaa terii taraf hai Khudaa mere saath hai

aavaaz ghu.Ngharuuo.n kii nahii.n hai to kyaa huaa 
saaGar ke TuuTane kii sadaa mere saath hai

tanhaa_ii kis ko kahate hai.n mujhako pataa nahii.n 
kyaa jaane kis hasii.n kii duaa mere saath hai

paimaanaa saamane hai to kuchh Gam nahii.n "Nizam" 

ab dard-e-dil kii ko_ii davaa mere saath hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.