yahii bahut hai k dil us ko DhuuND laayaa hai

yahii bahut hai k dil us ko DhuuND laayaa hai
kisii ke saath sahii, voh nazar to aayaa hai

karuuN shikaayteN, taktaa rahuuN, k pyaar karuuN
gayii bahaar kii suurat voh lauT aayaa hai

voh saamne thaa magar, ye yaqiiN na aataa thaa
voh aap hai k mirii KhvaahishoN ka saayaa hai

azaab dhuup ke kaise haiN baarisheN kyaa haiN 
fasiil-e-jism girii jab to hosh aayaa hai

maiN kyaa karuuNgaa agar vo na mil sakaa 'Amjad' 
abhii abhii mirre dil meiN Khayaal aayaa hai