kehne ko mera us se koi vaasta nahiiN
Amjad magar vo shakhS mujhe bhoolta nahiiN
Darta huuN aaNkh kholuuN to manzar badal na jaaye
maiN jaag to raha huuN magar jaagta nahiiN
aashuftagi se us ki usse be wafa na jaan
aadat ki baat aur hai dil ka bura nahiiN
Saheb nazar se karta hai paththar bhii guftago
na jins ke huzuur zubaaN kholta nahiiN
tanha udaas chaand ko samjho na be khabar
har baat sun raha hai magar bolta nahiiN
khaamosh ratjagoN ka dhuwaaN thaa chahaar soo
nikla kab aaftaab mujhe to pata nahiiN
Amjad vo aankheN jheel si gehri to heN magar
un meN koi bhii aks mirre naam ka nahiiN