Tujh ko masjid hai, mujh ko maikhana, Waaiz apni, apni qismat hai. Author : Mir Taqi Mir --------------------------------- Mujhko khush aati hai masti, sheikh ji ko farbahi, Mai_n hoo_n peene ke lieye, aur woh hai_n khaane ke lieye. Author : Akber Allahabadi --------------------------------- Zaahid sharaab peene de masjid mei_n baith kar, Ya who jagah bata jaha_n par Khuda nahi_n. Author : Dagh ------------------------------------ Ghalib bura na maan jo waaiz bura kahe, Aisa bhi hai koi ke sab achha kahe_n jise. Author : Mirza Ghalib ------------------------------------- Agarche mai_n rind -e-muhtaram hoo_n,magar ise sheikh se na poochho, Ke un ke aage tau is zarnaane mei_n saari duniya jahannumi hai. Author : Akber Allahabadi ----------------------------------------- Hui hai hazrat-e-naasih se gufatgoo jis shab, Woh shab zaroor sar-e-koo-e-yaar guzri hai. Author : Faiz Ahmad Faiz ------------------------------------- Kahaa_n maikhana ka...
Urdu Shayari world 786 is such a website which provide you all kinds of poetry new and old in Indian and Pakistani Collections of poets are available. The Poetry is in every sense enough to suit every occasion like romantic poetry Attitude Poetry sad poetry Faiz Ahmed Faiz Poetry Ahmed Faraj Poetry Mirza Ghalib Poetry Parveen Shakir poetry, John Elia Poetry we hope that you will like our little effort.