Skip to main content

Saqi Poetry

Shab-e-firaaq guzari hai humne barson baras
ai saaqi-e-gham-e-dil! aa, sharaab likhne aa
Author : Kalim Akhtar

..................................................................................................

aaj tanhaaii kisii hamdam-e-dairiiN kii tarah
karne aayii hai merii saaqii-garii shaam Dhale
muntazir baiThe haiN ham donoN ke maahtaab ubhre
aur teraa aks jhalakne lage har saaye tale
Author : Faiz Ahmad Faiz

......................................................

Piyaase to yaha'n se ham nahi'n jaane ke,
Madhosh  kare  jo   shai  pilaa ai saaqi.
Author : Aslam Rahi,
.................................................

Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab,
pio ki pine-pilane ki rat ai hai, 
Wo aaj ae hain mahfil main chandni , 
Ki roshni main nahane ki raat ai hai.
Author : Faiz Ratlami
.................................................

Saqi teri mahfil main hum jam uchalenge,
Jab kabe main jayenge zam_zam se naha lenge.
Author : Fana Nizami Kanpuri
.................................................

Masti bhi taqados bhi ek sath chale dono, 
Ik simt ho maiKhana ik simt shiwala ho, 
Masjid ki taraf se too jana na kabhi saqi, 
Zahid bhi kabhi tera na chahnewala ho .
Author : Dalip Tahir
............................................

May pilakar apka kya jayega ,
Jayega iman jiska jayega ,
Dekhakar mujhko wo sharma jayega, 
Ye tamasha kisse dekha jayega .
Author : Bekhud Dehlvi

..........................................

Na kah saqi bahar aane ke din hain ,
Jigar ke dagh chil jane ke din hain .
Author : Bekhud Dehlvi

..........................................

abhi raat kuch hai baqi na utha naqaab saqi, 
tera rind girate girate kahi phir sambhal na jaye, 
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhana, 
tere aane ki Khushi mei'n mera dam nikal na jaye. 
Author : Anwer Mirzapuri

....................................................

Tere dar Pe woh aa hi Jaate hain ,
jin ko peene ki aas ho saaqi ,
aaj itni pila de aankhon se ,
Khatm rindon ki pyas ho saaqi.
Author : Abdul Hamid Aadam

...........................................

Maikasho! mai ki kami beshi pe nahaq josh hai,
Yeh tan saqi janta hai kisko kitna hosh hai.
Author : Natiq Lucknawi

..........................................

Mai bhi hai, meena bhi hai, saghar bhi hai, saqi nahin,
Ji mein aata hai laga den aag maikhane ko hum.
Author : Nazir Akberabadi

...........................................

Roeb kuchh saqi ka aisa chha gaya, 
Meri tauba ko paseena aa gaya.
Author : Qais Jullundhry
...........................................

Sharaab-e-kuhan phir pila saqia,
Wohi jaam gardish mein la saaqia.
Author : Allama Iqbal

....................................

Ab der na kar dhaal pila de saqi,
Sheesha men jo hai mal pila de saqi.
Author : Kalim Aajiz

...........................................

Bata phir aaj kyon taaron ki gardish tez hai saaqi
Pila saaqi ke mausam walwala angez hai saaqi
Author : Kalim Aajiz

...........................................

Dekhte hi maikade mein, maikasho, saqi baghair,
Kis ghazab ki be-kasi paida hai shakal-e-jaam se!
Author : Shad Azeemabadi

............................................

Nasha pila ke girana tau sabko aata hai,
Maza tau tab hai ke girton ko tharn le, saqi.
Author : Allama Iqbal

............................................

Mujh tak kab unki bazm mein aata tha daur-e-jaam,
Saqi ne kuchh mila na diya ho sharaab mein.
Author : Mirza Ghalib

...............................................

Saqi gari ki sharam karo, aaj, warna hum,
Har shab pia hi karte hain mai jis qadar mile.
Author : Mirza Ghalib

....................................

Saqi ba-jalwa dushman-e-imaan-o-aagahi,
 Mutrib b-naghma rahzan-e-tamkeen-e-hosh hai.
Author : Mirza Ghalib

.............................................

Mai parastaan, khum-e-mai munh se lagaaey hi bane,
Ek din gar na hua bazm mein saqi na sahi.
Author : Mirza Ghalib

.............................................

Kaisa hai yeh maikade ka manzar saaqi
Kyon aaya hai waizon ka lashker saaqi
Hairat hai ke barsaat mein teri hote
Sheshon pe baras rahe hain pathar saaqi
Author : Perwez Shahidi

............................................
Tire sheeshe mein mai baqi nahin hai,
Bata kya tu mira saqi nahin hai?
Samundar se pyaase ko mile shabnam,
Bukhaili hai yeh, razzaaqi nahin hai.
Author : Allama Iqbal
.....................................................

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.