Skip to main content

Qafas Poetry

Yaa Qafas ki bandisho.n me.n,apne baal-o-par bana,
yaa chaman waloN ke dil me.n,pahle apna ghar bana.
Author : Manzar Hussain Akber

......................................

Maana ke fikr-e-barq-o-ghum-e-baaghbaan nahin,
Phir bhi qafas, qafas hi tau hai, aashian nahin.
Author : Raza Quraishi

..................................

Kaisa chaman ke hum se aseeron ko mana hai,
Chaak-e-qafas se bagh ki deewaar dekhna.
Author : Mir Taqi Mir

...................................

Awwal tau qafas ka mere dan baaz kahan hai,
Aur ho bhi tau yahaan taaqat-e-parwaaz kahan hai.
Author : Mushafi

.......................................

Nai tir kamaan mein hai, na sayyaad kameen mein,
Goshe mein qafas ke mujhe aaraam bahut hai.
Author : Mirza Ghalib

......................................

Qaid mein itna zamaana ho gaya,
Ab qafas bhi aashiaana ho gaya.
Author : Hafeez Jaunpuri

.........................................

Khud apna zauq-e-aseeri hai paaon ki zanjeer,
Hazoor aapke zulfon ke kham ki baat nahin.
Author : Mir Taqi Mir

............................................


Qafas ki teelion mein jaane kya tarkeeb rakhkhi thii,
Ke har bijli qareeb-e-aashian maaloom hoti hai.
Author : Seemab Akberabadi

...........................................


Aseerane qafas ki kya tabiyat mein ubhaar aaye
Asgar aati nai sehan bagh mein fasle bahaar aaye
Author : Kalim Aajiz

..............................................


Chamak jugnu ki barq-e-be amaan maaloom hoti hai,
Qafas mein rah ke qadr-e-aashian maaloom hoti hai.
Author : Seemab Akberabadi

......................................................


Kuchh qafas ki teelion se chhan raha hai noor sa,
Kuchh fiza, kuchh hasrat-e-parwaaz ki baaten karo.
Author : Firaq Gorakhpuri

....................................................

Ai saaknaan-e-kunj-e-qafas! subah ko saba,
Sunte hain jaaegi soo-e-gulzaar, kuchh kaho. 
Author : Sauda

................................................


Chaman mein ghaarat-e-gulcheen se jaane kya guzri,
Qafas se aaj saba be qarar guzri hai.
Author : Faiz Ahmad Faiz

..............................................

Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kahte na dar humdam,
Giri hai jis pe kal bijli, woh mera aashian kyon ho.
Author : Mirza Ghalib

...........................................

Is saraab-e-rang-o-boo ko gulistaan samjha hai tu,
Ah, ai nadaan qafas ko aashiaan samjha hai tu.
Author : Allama Iqbal
..........................................

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.