Skip to main content

Waaiz Poetry

Tujh ko masjid hai, mujh ko maikhana,

Waaiz apni, apni qismat hai.

Author : Mir Taqi Mir

---------------------------------

Mujhko khush aati hai masti, sheikh ji ko farbahi,

Mai_n hoo_n peene ke lieye, aur woh hai_n khaane ke lieye.

Author : Akber Allahabadi

---------------------------------

Zaahid sharaab peene de masjid mei_n baith kar,

Ya who jagah bata jaha_n par Khuda nahi_n.

Author : Dagh

------------------------------------

Ghalib bura na maan jo waaiz bura kahe,

Aisa bhi hai koi ke sab achha kahe_n jise.

Author : Mirza Ghalib

-------------------------------------

Agarche mai_n rind -e-muhtaram hoo_n,magar ise sheikh se na poochho,

Ke un ke aage tau is zarnaane mei_n saari duniya jahannumi hai.

Author : Akber Allahabadi

-----------------------------------------

Hui hai hazrat-e-naasih se gufatgoo jis shab,

Woh shab zaroor sar-e-koo-e-yaar guzri hai.

Author : Faiz Ahmad Faiz

-------------------------------------

Kahaa_n maikhana ka darwaaza, Ghalib, aur kaha_n waaiz,

Par itna jaante hai_n kal woh jaata tha ke hum nikle.

Author : Mirza Ghalib

-------------------------------------

Seekh duniya hi mei_n waaiz, hoor se milne ke dhang,

Warna roega ke jannat mei_n bhi ruswaai hui.

Author : Hafeez

---------------------------------

Umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakhkha hai waaiz ko,

Yeh hazrat dekhne mei_n seedhe saade, bhole bhaale hai_n.

Author : Allama Iqbal

---------------------------------

Gar ho sharaab-o-khilwato-mahboob-e-khoobroo,

Zaahid qasam hai tujhko Jo tu ho tau kya kare.

Author : Sauda

-----------------------------------

Sab haseen hai_n zaahido_n -ko na-pasand,

Ab koi hoor aaegi un ke lieye.

Author : Ameer Minai

--------------------------------------

Zauq, Jo madarse ke bigre hue hai_n mullah,

Unko maikhane mei_n le aao, sanwarjaaenge

Author : zauq

--------------------------------

Hazrat-e-naasih gar aawe_n, deeda-o-di1 farsh e-raah,

Koi mujhko yeh tau samjha do, ke samjhawe_nge kya.

Author : Mirza Ghalib
-------------------------------

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.