Skip to main content

TooFan Poetry

Ik zara dil ke qarib ao to kuch chain pare ,

Jam ko jam se takrao to kuch chain pare ,

Baithe baithe to har moj se dil dahlega,

Bharke toofan se takrao to kuch chain pare

Author : Ganesh Bihai Tarz

-------------------------------

Ai mauj-e-bala inko bhi zara, do chaar thapere halke Se,

Kuchh log abhi tak saahil se toofaa_n ka nazzara karte

hai_n.

Author : Jazbi

---------------------------

Do tund hawaao_n par bunyaad hai toofaa_n ki,

Ya tum na hasee_n hote, ya mai_n na jawaa_n hota.

Author : Arzoo Lucknawi

--------------------------------

Ahsaan nakhuda ke uthaaey meri balaa,

Kishti Khuda pe chhorh doo_n, langar ko tor doo_n.

Author : Zauq Dehlvi

-----------------------------

Bhanwar se laro, tund lahro_n se khelo,

Kahaa_n tak chaloge kinaare kinaare.

Author : Raza Hamdani

-------------------------------

Darya ke talaatam se tau bach sakti hai kishti,

Kishti mei_n talaatam ho tau saahil na milega.

Author : Malik Zada Manzoor Ahmad

-----------------------------------

Sahaara na deti agar mauj-e-toofaa_n,

Dabo hi diya tha hame_n nakhuda ne.

Author : Kalim Aajiz

----------------------------------------

Na-khuda door, hawa tez, qaree_n kaam-e-nihang,

Waqt hai phaink de lahro_n mei_n safeena apna.

Author : Faiz Ahmad Faiz

----------------------------------------


Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.