Skip to main content

Lab Poetry

Maaloom nahin kya hai lab-e-surkh-e-butaan mein,
Is aattishe-khaamosh ka hai shor jahaan mein.
Author : Mir Taqi Mir

.........................................

Lal-e-khamosh apne dekho ho aarsi mein,
Phir poochhte ho hans kar mujh be-nawa ki khwahish.
Author : Mir Taqi Mir
.............................................

Naazuki uske lab ki kya kahiye,
Pankhri ik gulab ki si hai.
Author : Mir Taqi Mir
.............................................

Lab tire lal-e-naab hain donon,
Par tamaami itaab hain donon.
Author : Mir Taqi Mir
.............................................

Apne tau hont bhi na hue uske roobaroo,
Ranjish ki waja Mir kya baat ho gai.
Author : Mir Taqi Mir
.............................................

Un labon ne na ki maseehaai,
Hum ne saisau tarah se mar dekha.
Author : Mir Taqi Mir
............................................

Mar gaya sadma-e-yak jumbish-e-lab se Ghalib,
Naatawaani se woh hareefe-dam-e-Isa na hua.
Author : Mirza Ghalib

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.