Skip to main content

Naaz-O-Ada Poetry

Mausam ko isharo'n se bula kyu'n nahi lete ,
Rootha hai agar wo to mana kyu'n nahi lete ,
Deewana tumhara koi ghair nahi hai,
Machla bhi to seene se laga 'nahi lete. 
Author : Zafar Gorakhpuri

.......................................

Mile kisi se nazar tu samjho Ghazal hui, 
Rahe apani Khabar tu samjho Ghazal hui, 
Mila ke nazro'n ko wo haya se phir, 
Jhuka le koi nazar tu samjho Ghazal hui.
Author : Zafar Gorakhpuri

..........................................

Sab hi andaaz-e-husn pearey hain,
Hum magar saadgi ke maare hain.
Author : Jigar
.......................................

Naaz-o-andaaz-o-ada, ushwa-o-aghmaaz-o-haya,
Aab-o-gil mein tiri sab kuchh hai magar pyaar nahin.
Author : Mir Taqi Mir
........................................

Is saadgi pe kaun na mar jaae, ai Khuda,
Larte hain, aur haath mein talwaar bhi nahin.
Author : Mirza Ghalib
............................................

Aaeene mein har ada ko dekh kar kahte hain woh,
Aaj dekha chaaheye kis kis ki hai aai hui.
Author : Ameer Minai
.....................................

Abhi sin hi kya hai jo be-baakiyan hon,
Unhein aaengi shokhiaan aate aate.
Author : Dagh
....................................

Kya lutaf ke main apna pata aap bataaoon,
Kijeye koi bhooli hui khas apni ada yaad.
Author : Jigar
.......................................

Dishna-e-ghamza jaansitaan, naawak-e-naaz be panaah,
Tera hi aks-e-rukh sahi, saamne tere aae kyon.
Author : Mirza Ghalib
............................................

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng