Skip to main content

Umr Poetry

Aap se dil lagake dekh liya
umr bhar roke, gaake dekh liya
Author : Kalim Akhtar

.........................................

Umr bhar key liye tumharey paas,
reh gaiey hai shaguftagi meri,
Aakhri raat ke udaas diyoo,
yaad hai tum ko bebasi meri.
Author : Mustafa Zaidi(Tegh Allahabadi)

.............................................

Umr bhar umr-e-gureza'n se na meri ban saki,
Jo kare karti rahe mai'n puchta kuch bhi nahi,
Wo bhi shayad ro pare vira'n kaghaz dekh kar'
Mai'n ne us ko akhri khat mai likha kuch bhi nahi.
Author : Zahoor Nazar

.........................................
Rau mein hai rakhsh-e-umr kahaan dekhieye thamey,
Na haath baag par hai, na pa hai rakaah mein.
Author : Mirza Ghalib

...........................................

Arey, 0 shikwa-sanj-e-umr-e-fani,
Yeh fani zindagi bhi kam nahin hai.
Author : Jigar

.............................................

Umr saari tau kati ishq-e-butaan mein, Momin, 
Aakhiri waqt mein kya khaak musalmaan honge
Author : Momin

........................................

Ik umr kat gai tere intezaar mein,
Aise bhi hain ke kat na saki jin se ek raat.
Author : Firaq Gorakhpuri

..............................................

Kuchh kati himmat-e-sawaal mein umr,
Kuchh umeed-e-jawaab mein guzri.
Author : Fani

...................................

Kya gila suyyaad se hum ko yoonhi guzri hai umr, 
Ab aseer-e-daam hain, jab the gariftaar-e-chaman.
Author : Sauda

..............................................

Afsos ke hum tau rahe mast -e-khwab-e-subah,
Aur aaftaab-e-umr lab-e-baam aa gaya.
Author : Mushafi

......................................

Saath apne le ke tausan-e-umr-e-rawaan ko, aah,
Hun is saraa-e-dahar inein kya aaey, kya chale.
Author : zauq

....................................

Uske eefaa-e-ahd tak na jieye,
Umr ne hum se be-wafaai ki.
Author : Mir Taqi Mir

....................................

Umr bhar ka tu ne paimaan-e-wafa baandha tau kya,
Umr ko bhi tau nahin hai paaedaari, haaey, haaey!
Author : Mirza Ghalib
......................................

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng