Ghar Poetry

Yeh barasti aag, yeh shoala dil-e-betaab ka
kash hota mausam-e-garma mein ghar barfaab ka

Author : Kalim Akhtar
----------------------------------------------------------

Kisi ki raah roshan ho gaee hai,
Bahut achha-ke mera ghar jala hai.
Author : Manazir Ashiq Harganwi
-----------------------------------------------------

Log toot -jaate hain ek ghar banaane mei'n,
Tum taras nahin khaate  bastiyaa'n jalane mei'n.
Author : Basheer Badr
-------------------------------------------------

Kahaan-kahaan se bhatak kar kidhar chalay aaye? 
Jahaan bhi pahunchay hain , samjho ke ghar chalay aaye
Author : Shahid Jameel
----------------------------------------------------------


Wohi tanhaai, wohi dhoop, wohi be sitami,
Ghar mein rahna bhi hua rahguzar mein rahna.
Author : Praveen Shakir
----------------------------------------------------------

Chhora na rashk ne ke tere ghar ka naam loon,
Har ik se poochhta hoon ke jaaoon kidhar ko main.
Author : Mirza Ghalib
------------------------------------------------------

Lo, woh bhi kahte hain ke yeh be nang-o-naam hai,
Yeh jaanta agar tau lutata na ghar ko main.
Author : Mirza Ghalib
------------------------------------------------------

Jise raunaq tire qadmon ne dekar chheen li raunaq, 
Woh laakh aabad ho, us ghar ki weeraani nahin jaati.
Author : Jigar
---------------------------------------------------------

Darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main,
Sunsaan ghar yeh kyon na ho, mehmaan tau gaya.
Author : Dagh
----------------------------------------------------------

Ghar hamaara Jo na rote tau bhi weeraan hota,
Bahr gar bahr na bota, tau bayabaan hota.
Author : Mirza Ghalib
----------------------------------------------------------


Ug raha hai dar-o-deewaar pe sabza Ghalib,
Hum bayabaan mein hain, ghar mein bahaar aai hai
Author : Mir Taqi Mir
-----------------------------------------------------------

Palat rahe hain ghareeb-ul-watan, palatna tha,
Woh koocha roo-kash-e-jannat sahi, ghar hai ghar phir bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

---------------------------------------------------------

Kya hi Rizwaan se laraai hogi,
Ghar tira khuld mein garyaad aaya.
Author : Mirza Ghalib

----------------------------------------------------------

Woh aae ghar mein hamaare, Khuda ki qudrat hai,
Kabhi hum unko, kabhi apne ghar ko dekhte hain.
Author : Mirza Ghalib
----------------------------------------------------------

Hai khabar garm aaj unke aane ki,
Aaj hi ghar mein boriya na hua.
Author : Mirza Ghalib

--------------------------------------------------------

Be dar-o-deewaar sa ik ghar banaaya chaaheye,
Koi hum saaya na ho, aur paasbaan koi na ho.
Author : Mirza Ghalib

-----------------------------------------------------

Koi weerani si weerani hai,
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya.
Author : Mirza Ghalib
-----------------------------------------------------------


Kis dhitaai se woh dil chheen ke kahte hain, Amir,
Woh mira ghar hai, rahe jis mein mohabbat meri.
Author : Ameer Minai