Skip to main content

Kali Poetry

Gulon ne chadar-e-shabnam se munh lapet liya,
labon pe so gayee kaliyon ki muskurahat bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri
--------------------------------------------------------------
Khilna kam-kam kali ne seekha hai
uski aankhon ki neem khwabi se
Author : Mir Taqi Mir
-----------------------------------------------------------------
Kali udaas hai kyon phool sookh jata hai,
hawa ki qatra-e-shabnam ise jalata hai.
Author : Kalim Akhtar
----------------------------------------------------------------
Kaha usne gulka hai kitna sabaat,
kali ne yeh sunkar tabassum kiya.
Author : Mir Taqi Mir
-------------------------------------------------------------
Kali koi jahan pe khil rahi hai,
wahin ik phool bhi murjha raha hai.
Author : Jigar Muradabadi

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng