Skip to main content

Janoon Poetry

Tha Mir bhi deewaana, par saath zaraafat ke,
Hum silsala daaron ki zanjeer hila jaata.
Author : Mir Taqi Mir
----------------------------------------------------

Zindaan mein bhi shorish na gai apne janoon ki,
Ab sang madaawa hai is aashufta sari ka.
Author : Mir Taqi Mir
---------------------------------------------------------

Hai janoon ka zor-e-toofaan in dinon,
Main hoon aur mera garebaan in dinon,
Author : Shafaq Bhagalpuri
---------------------------------------------------------
Chalo achcha hua kaam aa gai deewaangi apni, 
Wagarna hum zamaane bhar ko samjhaane kahaan jaate. 

Author : Qateel Shifaee
--------------------------------------------------------

Ik mauj-e-hawa pechaan, ai Mir, nazar aai,
Shaaid ke bahaar aai, zanjeer nazar aai.
Author : Mir Taqi Mir
-----------------------------------------------------

Dilon ko fikar-e~do aalam se kar diya aazaad,
.Tire janoon ka Khuda silsala daraaz kare.
Author : Hasrat Mohani
-----------------------------------------------------
Dilon ko fikar-e~do aalam se kar diya aazaad,
.Tire janoon ka Khuda silsala daraaz kare.
Author : Hasrat Mohani
----------------------------------------------------------
Ishq mujhko na sahi, wahshat hi sahi,
Meri wahshat teri shuhrat hi sahi.
Author : Mirza Ghalib

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.