Skip to main content

Raat Poetry

Abhi to aankh ladi hai, zara thahar jaao
haseen raat padi hai, zara thahar jaao
Author : Kalim Akhtar

........................................

Raat bhar bunta raha Khwabon ko main jiske liye
rah gayee khaamosh woh raaton kee raani saamne
Author : Kalim Akhtar

.........................................

Shor tha, khamoshi thee, wasl tha, judaayee thee
raat kis musibat mein pad gayee parindon kee
Author : Kalim Akhtar

................................................

Shoala -badan hai karb kee garmi shab-e-firaaq
tapti, jhulasti raat hai, koi ghazal kaho.
Author : Kalim Akhtar

...........................................

Sozish tha, chubhan tha, to kabhi shoala shabi tha
kiya bolun ki kis rang mein tha raat ka bichchhoo
Author : Kalim Akhtar

............................................

Khwabon mein raat aaya tha kis dasht se ghazaal
aankhen badi haseen theen, chehra bada buland
Author : Kalim Akhtar

..........................................

Shabnam, sharar, ki barq thee tere badan ki aag
kis kis libaas mein thee sajan! raat, tan ki aag
Author : Kalim Akhtar

...........................................

Yoon kashmakash mein raat hamaari guzar gayee
maine kaha nahin, kabhi usne kaha nahin
Author : Kalim Akhtar

..............................................

Shab-e-firaq uThe dil meiN aur bhi kuchh dard
KahooN maiN kaise teri yaad raat bhar aayee
Author : Firaq Gorakhpuri

.............................................


Woh bhi raaton ko meri tarah na sota hoga
Usko bhi doori ka ehsaas to hota hoga
Author : Kishwar Ara Shabnam

.............................................


Raat bhar tanha raha, din bhar akela main hi tha...
Sheher ki aabadiyon main apne jaisa main hi tha...

Main hi dariya,main hi toofan main hi tha har mauj bhi...
Main hi khud ko pee gaya, sadiyon se pyasa main hi tha.

Kis liye katra ke jata hai musafir dam to le...
Aaj sukha hu magar, kal tera saya main hi tha...

Meri dhadkan sunne wala dil na tha duniya ke paas...
Sabki aahat, sabki dhadkan sunne wala main hi tha...

Kitne jazbon ki nirali khushbuyein thi mere paas...
Koi unko ch
Author : Shirish Gontiya

............................................


Raat kae pichlae pehrr, chaand kis ki talaash main hae,
Jaisae koi piyasa badal, saaawan ki talassh main hae, 
Tanhai ki suunsan ratein aur ankhon main bheegae lamhaat,
Teri yaad ki riazat, ikk aur rat-Jaggae ki talash main hae.
Author : Iftikhar Chaudri

...................................

Har rang moattal hai,
Raat ke  deewaano!
Ye shaam-e-musalsal hai.
Author : Shahid Jameel

............................................

aur ko_ii dam kii hai mehamaa.N guzar jaayegii raat,
Dhalte Dhalte aap apnii maut mar jaayegii raat.
Author : Soroor Barabankvi

.................................................

  Aaj Ki Raat Bhi Guzari Hai Meri Kal Ki Tarah,                         
Haath aaye na sitare tere anchal ki tarah ,
Rjalati hui ik aisi chita hai jis par, 
Teri yade'n hai'n sulagate huye sandal ki tarah .
Author : Ameer Kazabash

.................................................
Suhaani raat hai, chhatke hue sitaare hain,
Sakoot-e-neem shabi ke lateef ishaare hain.
Author : Firaq Gorakhpuri

...............................................

Tu kahaan jaaegi, kuchh apna thikana kar le, 
Hum tau kal khwab-e-adam mein shab-e-hijraan honge.
Author : Momin

...............................................

Woh aaiam aur hi hai jis mein meethi neend aajaae, 
Khushi aur ghum mein sone ke lieye raaten nahin hoteen. 
Author : Firaq Gorakhpuri

...............................................
Samajh kuchh raaz husn-o-ishq ke shabhaae hijraa_n mei_n,

Ke rone ke lieye yeh dukh bhari raate_n nahi_n hotee_n.

Author : Firaq Gorakhpuri

......................................
Chhirte hi ghazal barhte chale raat ke saae,
Aawaaz miri gaisu-e-shab khol rahi hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

.........................................
Khunak, seah, mahke hue saae, phail jaaen hain jal thal par,
Kin jatnon se meri ghazlen raat ka joora kholen hain.
Author : Firaq Gorakhpuri

......................................

Raat chali hai jogan ho kar baai sanwaare, lat chhatkaae,
Chhipe Firaq gagan par taare, deep bujhe, hum bhi sojaaen.
Author : Firaq Gorakhpuri

............................................
Sauda teri faryaad se aankhon mein kati raat,
Aai hai sahar hone ko, tuk tu kahin mar bhi.
Author : Firaq Gorakhpuri

..........................................

Ab daur-e-aasmaan hai, na daur-e-hayaat hai,
Ai dard-e-jigar tu hi bata kitni raat hai.
Author : Firaq Gorakhpuri

.........................................

Woh shab-e-mah, tum baghal mein, haath mein
jaam-e-sharaab,
Dil mein utri thi gulabi chaandni rukhsaar ki.
Author : Firaq Gorakhpuri

.............................................
Waqt-e-gharoob aaj karaamaat ho gaie,
Zulfon ko us ne khol diya, raat ho gaie. 
Author : Firaq Gorakhpuri

.........................................

Thein. binaat-ul-naash-e-gardoon din ko parde mein nihaan,
Shab ko un ke ji mein kya aai ke uriaan ho gaien.
Author : Mirza Ghalib

...................................

Har lamhe pe hota hai, saaya abdeeat ha,
Ik raat mohabbat ki ik raat nahin hoti.
Author : Firaq Gorakhpuri
..........................................

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.